Wednesday, November 25, 2009

mujhe acha laga

23rd ko mere college ka fest tha jisme mai outside mc tha . fest se pehle maine kabhi bhi ye sab nahi kiya tha to thoda sa dara hua tha ki kya hoga ... lekin fir socha ki hona kya hai jo hoga acha hi hoga or agar kharab bhi hua to dekha jayega . maine koi khaas tayyaeri uske liye nahi ki . maine mere dost aamir se pucha ki kya karun usne bohot hi tassali ke sath mujhe samjhaya ki pashan mat ho bas confident reh kar faltu ki bakwas kar or yad rahe ki log bore na ho jayen ...uske badjab 23rd aaya or compairing ke liye mere hath me mic aaya to mujhe nahi pata ki maine kya bola ... bas mujhe aamir ke sath hi hui thodi si bakwas yad thi . maine bhi aav dekha na taav bas bakwas shuru ki or sab kuch khud-bkhud hota ja raha tha .......... bad me clg ki director ne mujhe kaha ki " you were good " mujhe laga chalo ab thik hai ... badme kucek logo ne or bhi kaha ki mera kaam acha tha .mujhe khud par proud feel ho raha tha... phir aamir ne kaha ki mam teri tareef kar rahi thi bas phir kya tha mai to saatve aasman par ... lekin han mujhe aamir ka comment bhi chahiye tha lekin vo e sab dekh hi nahi paya kyon ki vo inside mc tha.........khair koi baat nahi yar tujhe bhi acha lagta . i hope...............

No comments:

Post a Comment